|
Welcome to my world!
TUHFA-E-ISHQ
jo akhyaan moond kay phir kholnay ka jee nahee chaahay
kisee doojay say jo hans bolnay ka jee nahee chaahay
samajh laina kay tum bhee mubtala-e-ishq ho jaanan
kay tum bhee zair-e-saaya-e-bala-e-ishq ho jaanan
kisee ko sochtay rahnay ka jo jee tumhain chaahay
usee ko khojtay rahnay ka jo jee tumhain chaahay
usee kee yaad dil main gholtay rahnay ka jee chaahay
kisee ka naam har pal boltay rahnay ka jee chaahay
samajh laina kay tum bhee mubtala-e-ishq ho jaanan
kay tum bhee zair-e-saya-e-bala-e-ishq ho jaanan
kisee kee zaat ka mehwar tumharee zaat ghairay ho
aur har aik jaisay tum say apnay munh ko moray ho
samajh laina kay tum bhee mubtala-e-ishq ho jaanan
kay tum bhee zair-e-saya-e-bala-e-ishq ho jaanan
kisee kay bin jo tum ko bhe kaheen na chain milta ho
aur apnee zaat ka har ruwaan bhee baychain milta ho
usee kee yad main har ruwaan mehw-e-bain milta ho
aur aik deedaar say chain-o-sukoon-e-nain milta ho
samajh laina kay tum bhee mubtala-e-ishq ho jaanan
kay tum bhee zair-e-saya-e-bala-e-ishq ho jaanan
kaheeen jab neend ankhon say bohat hee door hotee hai
aur khud apnee hastee aap say majboor hotee hai
samajh laina kay tum bhee mubtala-e-ishq ho jaanan
kay tum bhee zair-e-saya=e=bala-e-ishq ho jaanan
aur kamra bhee sajaanay ka tumhain jab jee nahee chaahay
kaheen bhee anay jaanay ka tumhain jab jee nahee chaahay
aur khud hee sajnay aur sanwarnay ka hee jee chaahay
aeenay say ghanton guftugoo karnay ka jee chaahay
samajh laina kay tum bhee mubtala-e-ishq ho jaanan
kay tum bhee zair-e-saya-e-bala-e-ishq ho jaanan
lagay kay zindagee jaisay kisee kay bin adhooree ho
jaisay sansain hain jeewan main aisay woh bhee zarooree ho
samajh laina kay tum bhee.........................
~*~ DIl bhool nahi pata woh khuab mohabat ka~*~
dil bhool nahi pata
wo khuab mohabbat ka
dil bhool nahi pata
kya baidh anookha hai
jab soochnay baidho tu
kooch yaad nahi aata
ik pal k liyee phir bhi
wo khaab mohabbat ka
dil bhool nahi pata
bechain jo guzri hain
raatain tu bahut se thi
karney k liyee uss se
baatain tu bahut see thi
woo saamnay aaya tu
sab bhool gayee mujh se
soocha hai bahut
laikin yaad nahi aata
dil bhool nahi pata
|